Ghar Baithe Amazon, Flipkart aur Meesho Se Earning Kaise Kare.

Aaj ke time mein online shopping platforms sirf kharidari ke liye nahi, balki ghar baithe income banane ka ek golden chance bhi dete hain. Jaise- Amazon, Flipkart aur Meesho aise platforms hain jahan se aap affiliate marketing ya reselling ke through income generate kar sakte hain.

amozon meesho flipkard

Chaliye ham step by step ise samajhte hain:-

1. Amazon Se Earning (Affiliate Marketing)

Amazon ka Affiliate Program “Amazon Associates” ke naam se famous hai.

  • Isme aapko apni website/blog ya social media par product links share karne hote hain.
  • Jab koi user aapke link se product kharidta hai to aapko commission milta hai.

Example: Agar aap kitchen hacks ka blog likhti ho aur Amazon ke mixer grinder ka link dete ho, toh jo bhi aapke link se purchase karega usse aapko earning hogi.

Amazon affiliate beginners ke liye best hai kyunki log already Amazon par trust karte hain.

step by step

2. Flipkart Affiliate Program

Flipkart bhi ek strong affiliate program offer karta hai. Jo Process same hai jaise Amazon me hai.

  • Aapko ek affiliate ID milegi.
  • Uske through product links generate karke share karna hoga
  • Sales hone par commission aapke account me credit hoga

Flipkart ka advantage yeh hai ki India me iski reach Amazon ke barabar hai aur categories bhi wide hain (electronics, fashion, home decor etc.)

fashion home drcoret

3. Meesho Se Earning (Reselling Model)

Meesho thoda different hai Amazon/Flipkart se. Ye mainly reselling app hai.

  • Aapko Meesho par wholesale rate par products milte hain.
  • Aap apne margin add karke unhe WhatsApp, Facebook, Instagram ya website/blog par share kar sakti ho
  • Jab customer kharidta hai to product directly Meesho deliver karta hai, aur aapko profit (margin) milta hai

Homemakers ke liye Meesho best hai kyunki bina investment ke ghar baithe reselling business start ho jata hai.

house sitting earning

4. Kaise Decide Kare Kaunsa Best Hai?

  • Amazon/Flipkart: Agar aap blog ya website chalati ho → affiliate best hai.
  • Meesho: Agar aap social media (WhatsApp, Insta groups) par active ho → reselling best hai.
  • Dono mix bhi kar sakte ho → Blog pe Amazon/Flipkart, WhatsApp/Instagram pe Meesho.
whatsapp instagram

5. Success Tips for Homemakers

  • Apne interest wala niche choose kare (beauty, kitchen, parenting, fashion)
  • Content helpful banaye, sirf sales wali site na lage.
  • Trust build kare audience ke sath (reviews, genuine tips)

Thoda patience rakhe, income time ke sath barhati hai.

trust bualding

Conclusion
Amazon, Flipkart aur Meesho se earning karna mushkil nahi hai. Sirf smart approach aur right platform chahiye. Agar aap homemaker hain toh aap affiliate marketing aur reselling dono use karke ghar baithe monthly extra income generate kar sakti ho.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *